BLOGGER TEMPLATES AND TWITTER BACKGROUNDS

Tuesday, September 27, 2011

Haqeeqat

Teri yaadon ko hum ek haadsa sa maan lete hain
Teri baaton ko hum ek falsafa sa maan lete hain

Tera bicharna haqeeqat tha ye sabne maana hai
Tera milna tha afsana ye haqeeqat jaan lete hain

Dard ki Dawa

Jisko samjha tha khushi ghum ki wajah nikli hai
Jisko samjha tha rihayi woh saza nikli hai

Itni ruswayion ke baad tuney kuch to ehsaan kiya
Tujhse judayi hi mere dard ki dawa nikli hai

Thursday, June 16, 2011

Safar

Khwahishon ke samandar se mein guzar chuka
Ranjishon ke sehraon mein safar kar chuka

Rastey mein bhatak jaatey hain raahi aksar
Main to manzil se mil ke apni, us se bichar chuka

Kis se ho shikyat aur kis se karen shikwa
Dil cheer kar qaatil ka jab khanjar guzar chukka

Is ‘RAAZ’ ka chupna mumkin se hua na mumkin
Dil tod kar mera woh neelaam kar chuka

Sunday, June 5, 2011

Zakhm e Mohabbat

Ab teri bazm mein mujhe aise hi jeena hoga
Dekh kar tujhko ye jaam e zeher peena hoga

Tujhse nafrat bhi kar sakta nahi aye zaalim
Guzarta har lamha dard zakhmon ka sehna hoga

Chedega teri bat jab tanha mehfil main koi
Phir meri peshani per khushk paseena hoga

Koi to khush lota hai mujhe be-aashna karke
Shayad qarar tera bhi maine hi cheena hoga

Kab socha tha ke ye "raaz" bhi khulega kabhi
Tera khanjar hoga aur chak mera seena hoga

Friday, April 29, 2011

Tarq e Zindagi

Kya karoon yaad us bhoole hue fasaney ko
Koi waada ab na baaqi raha nibhaney ko

Bas usi dum chor di manzil ki tamanna dil ne
Jab raha raahi nahi koi saath nibhaney ko

Tarq mohabbat bhi ki, tarq e taalluk bhi kiya
Aur kya lootogey tum lootey hue khazaney ko

Badli mein jakey chup jaata hai chaand bhi aksar
Kuch bhi na raha baaqi RAAZ zakhm chupaney ko

Beenai

Ab ye tanhai ka aalam nahi dekha jaata
Jo na barse woh mausam nahi dekha jaata

Aandhiyan aati hain ghar baar ujar aate hain
Dil ko toofan se ujarta nahi dekha jaata

Na mayassar ho teri deed mujhe shikwa nahi
Khali dil ka hua kona nahi dekha jaata

Ab na baaqi hai teri yaad na teri baatein
Mujhse dhundlaya hua sapna nahi dekha jaata

Wednesday, April 6, 2011

Faisla

Apne daaman mein liye baitha hoon yaadien uski
Roz suntan hoon sunata hoon main baatein uski

Kuch to kare woh rehem zakhmi jigar par mere
Lab na kholey magar kuch to kahen nigahen uski

Woh banaya tha jo dil mein haseen sheeshmahal
Tod aya hoon aaj main saari deewaren uski

Ab na humraah ka pata hai na manzil ki khabar
Chor aya hoon bahut duur main raahein uski

Monday, March 14, 2011

Ishq e Nakaam

Tujhme hi maine khwabon ki taabeer ko dekha
Banti hui bigdi meri taqdeer ko dekha

Jab duur tha to tu mere dil ke qareeb tha
Paas aakar tujhe maine badi duur se dekha

Chaha nahi kisi ko bhi humne tere siwa
Tuney hi na dil mein basi tasweer ko dekha

Ab main hoon, ye qalam hai, aur lafz hain tanha
Bikhri hui kagaz pe ishq ki tafseer ko dekha

Thursday, February 3, 2011

Guftugu e Ishq

Ankahi baat jo hai kaash samajhta koi
Ishq mein meri tarhan bhi to tadapta koi
Gar pata hota anjaam e mohabbat pehle
Phir to izhar e mohabbat se bhi darta koi
Zakhm dene mein to mahir hain sabhi duniya wale
Kaash zakhmon ka marham bhi to karta koi
Khuli kitaab hoon main koi 'Raaz' to nahi
Dil ke warqon ko kabhi gor se parhta koi