BLOGGER TEMPLATES AND TWITTER BACKGROUNDS

Friday, April 6, 2012

Faisla e qalb

Likha usey, aur likh kar mita diya maine
Woh aik kitaab tha usko jala diya maine

Woh asl tha hi nahi, kyon usko yaad rakhoon?
Woh aik khwaab tha usko bhula diya maine

Jala jala ke charaagon ko woh bujhata raha
Jo akhiri tha diya usko bujha diya maine

Chupa chupa ke har raaz rakha seeney mein
Jo chupana tha wohi 'raaz' bata diya maine

Saturday, March 17, 2012

Haqeeqat

Is haqeeqat se mujhe aashna koi karde
Woh kisi aur ka hai is baat ko rakam karde

Na koi naam le us shakhs ka is mehfil mein
Jo in sookhi hui aakhon ko phir se nam karde

Koi to mujhko bataye ijaal e zakhme e jigar
Koi tabeeb to is dard ki dawa karde

Ye “raaz” khul hi gaya uske the raqeeb bahut
Mujhe ye zom raha mujhko woh raazdan karde

Tuesday, September 27, 2011

Haqeeqat

Teri yaadon ko hum ek haadsa sa maan lete hain
Teri baaton ko hum ek falsafa sa maan lete hain

Tera bicharna haqeeqat tha ye sabne maana hai
Tera milna tha afsana ye haqeeqat jaan lete hain

Dard ki Dawa

Jisko samjha tha khushi ghum ki wajah nikli hai
Jisko samjha tha rihayi woh saza nikli hai

Itni ruswayion ke baad tuney kuch to ehsaan kiya
Tujhse judayi hi mere dard ki dawa nikli hai

Thursday, June 16, 2011

Safar

Khwahishon ke samandar se mein guzar chuka
Ranjishon ke sehraon mein safar kar chuka

Rastey mein bhatak jaatey hain raahi aksar
Main to manzil se mil ke apni, us se bichar chuka

Kis se ho shikyat aur kis se karen shikwa
Dil cheer kar qaatil ka jab khanjar guzar chukka

Is ‘RAAZ’ ka chupna mumkin se hua na mumkin
Dil tod kar mera woh neelaam kar chuka

Sunday, June 5, 2011

Zakhm e Mohabbat

Ab teri bazm mein mujhe aise hi jeena hoga
Dekh kar tujhko ye jaam e zeher peena hoga

Tujhse nafrat bhi kar sakta nahi aye zaalim
Guzarta har lamha dard zakhmon ka sehna hoga

Chedega teri bat jab tanha mehfil main koi
Phir meri peshani per khushk paseena hoga

Koi to khush lota hai mujhe be-aashna karke
Shayad qarar tera bhi maine hi cheena hoga

Kab socha tha ke ye "raaz" bhi khulega kabhi
Tera khanjar hoga aur chak mera seena hoga

Friday, April 29, 2011

Tarq e Zindagi

Kya karoon yaad us bhoole hue fasaney ko
Koi waada ab na baaqi raha nibhaney ko

Bas usi dum chor di manzil ki tamanna dil ne
Jab raha raahi nahi koi saath nibhaney ko

Tarq mohabbat bhi ki, tarq e taalluk bhi kiya
Aur kya lootogey tum lootey hue khazaney ko

Badli mein jakey chup jaata hai chaand bhi aksar
Kuch bhi na raha baaqi RAAZ zakhm chupaney ko