BLOGGER TEMPLATES AND TWITTER BACKGROUNDS

Monday, December 27, 2010

Koshish

Rukey hue the jo aansun baha raha hoon main
Khayal dil mein tera jo tha mita raha hoon main
Bahut kamzor hai dil phir bhi haath rakh kar main
Basi hain teri jo yaadein, bhula raha hoon main

Yakeen

Jab tere dil ko koi baat satati hogi
Hai yakeen ab bhi meri yaad to aati hogi
Main nibha paya nahi jo tujhse kiya tha waada,lekin
Ab bhi koi baat to meri tujhko hasati hogi

Friday, October 8, 2010

Zakhmon ke chiraag

Bujhe hue chiraagon ko jalaya na karo
Soye hue khwaabon ko jagaya na karo
Hain qeemti jo zakhm, seeney mein dabe hain
Chupe hue zakhmon ko dikhaya na karo
Mushkil hai bada yaadon ka bhulana, lekin
Bhooli hui yaadon ko dohraaya na karo
Aata hai abhi yaar meri mehfilon mein bhi
Sar e aam yoohin 'raaz' sunaya na karo

Thursday, September 16, 2010

Judai ka sabab

Tanha mehfil mein kabhi hum yoon nahi aye honge
Jo the apne kabhi, wohi log paraye honge
Muskurate the jab unse kabhi milti thi nazar
Aaj unse hi hum nazron ko chupaye honge
Jab bhi aate the jalate the teri khusbu ke diye
Aaj aankhon mein chirag e ashq jalaye honge
Zakhm taaza hain, dard e tanhai bhi hai, lekin
Teri har yaad hum seene mein basaye honge

Wednesday, September 1, 2010

Naghma e Gham

Hum zindagi ke kuch gham yuuhin bhula dete hain
Jahan dard miley wahin pe muskura dete hain
Ye unka shauk hai ya unki tabiyat samjhen
Chura ke humse nazar woh dil ko jala dete hain
Ajeeb baat hai pehle kabhi dekhi na suni
Kehte hain mujhe apna, phir gair bana dete hain
Ajab hi aalam e tanhai hai ki kya kahiye
Gham ka naghma hai, khud hi ko suna dete hain

Saturday, July 31, 2010

Shikayat

Hujoom e gham hai yahan aisa ki kya kiya jaye
Jaam peena hai yahan dard ka kya kiya jaye
Dil ke tukde kiye jayen to shikayat nahi hogi
Tootey dil ko woh satayen to kya kiya jaye
Woh na dekhen hame to hum dil ko mana lenge
Dekhen hame aur nazren churayen to kya kiya jaye
Khanjar chale dil par to koi gham nahi hoga
Bina khanjar karen woh qatl to kya kiya jaye

Duuriyan

Dil ko samjhana ab bekaar nazar aata hai
Hum se rootha hua ab yaar nazar aata hai
Duur rehta tha to kareeb e dil tha bada
Paas rehkar woh duur daraz nazar aata hai

Friday, July 23, 2010

Ruswa Mohabbat

Is tarhan Mohabbat ko rootha hua dekha hai
Jaise phool ko shaak se toota hua dekha hai
Jahan hota hai Aghaaz-e-Mohabbat aksar
Dil ke tukron ko wahin bikhra hua deka hai

Monday, July 12, 2010

Akhiri Alwida

Majboor hoke tujhko bhulana hi padega
Hume saath tera chor kar jaana hi padega
Samjhi hi nahi tu meri mohabbat ki inteha
Ab dil khol kar apna mujhe dikhana hi padega
Har su hai tera aks is shehr-e-wafa mein
Mujhko ye sheher chor kar jana hi padega
Tu thi to akelepan se dar itna nahi tha
Ab tu nahi to tanhai se dil lagana hi padega

Friday, July 9, 2010

Ehsaas e Dard

Aik tanha phool ko murjhatey hue dekha maine
Aik tanha dil ko tadaptey hue dekha maine
Dekha jo gor se woh phool mere dil ka hi tha
Khud apne nafs ko bichadtey hue dekha maine

Wednesday, July 7, 2010

Purana Ehsaas

Phir khuli hain kitaben purani yaadon ki
Phir hawaen usi warq par aake thami hain
Phir se likha hai mohabbat ka woh farman e wafa
Phir hai ehsaas woh taza magar phir unki kami hai

Friday, July 2, 2010

Chiraag e Ishq

Dil mein chiraag e ishq jalana ghazab hua
Jalke jab bhuja to unko bhulana ghazab hua
Hum sochte the phir na dhadkega hamara dil
Woh saamne aye aur nazren milana ghazab hua

Dil ke paas

Kareeb beth kar unke ye hamey ehsaas hua
Woh khubsurat hi nahi woh khush mizaaj bhi hain
Jinko takte the hum bas duur duur se ab tak
Woh kareeb e nigah hi nahi woh dil ke paas bhi hain

Monday, June 14, 2010

Zakhm e Dil

Woh zakhm dikhne lage jinko chupa rakha tha
Tanha mehfil thi jisey humne saja rakha tha
Mehfil-e-gham se duur rakhte the unko hum lekin
Woh dard ubharne lage jihne dil mein daba rakha tha

Tuesday, June 8, 2010

Hasrat

Mere armano mein phir aag lagate jaana
Aaj phir dard bhara jaam pilate jaana
Badi hasrat hai hame tera gunahgaar hone ki
Phir koi hum par tu ilzaam lagate jana

Friday, June 4, 2010

Khwaab

Tootey hue khwabon ko sajana acha lagta hai
Bhula ke tujhko phir tera yaad aana acha lagta hai
Din mein to behel jaata hai ye moozi-e-dil
Aye raaz phir raat mein jalna..jal ke bujh jaana acha lagta hai

(Thanks Appi for the last two lines :D )

Dil-e-Nadaan

Naadaan tha ye dil ke tujhe khud mein basaya isney
Apne har kone mein tera hi khwaab sajaya isney
Tune toda mera dil, mere sapne, aur apne waadey
Phir bhi teri yaadon ko kabhi nahi bhulaya isney

Izhaar

Tujhe hi chaha bas tera hi intezaar kiya
Tune samjha hi nahi maine izhaar kayi baar kiya
Tujhe Zindagi banaunga apni zindagi mein shaamil karke
Tu aitbaar kar maine dil tujh pe jaa nisaar kiya

Raah-e-Wafa

Tumse wafa karenge tum dil na todna
Humraah tere banenge sar-e-raah na chorna
Teri hi deed ke hum rehte hain muntazir
Aik baar dekhna aur phir kabhi mooh na modna

Tuesday, May 25, 2010

Andaaz-e-Yaar

Ajab andaaz hai unka samajh nahi aata
Woh dekhte hain to dil sambhal nahi paata
Roz main sochta hoon unka tasavvur na karoon
Lekin siwaye unke koi chehra nazar nahi aata

Monday, May 10, 2010

Intezaar ki had

Woh Intezaar ki had ko samajh nahi paye
Mere bulaney par bhi woh idhar nahi aye
Suna hai aankhon se karte hain guftugu mohabbat mein
Ajab ittefaaq hai isharey mere woh samajh nahi paye

Ruswayi

Gehrai mere dil ki agar samajh patey woh
Dil thaam ke apna hi tadap jaatey woh
Gar dikha deta main dard dil ka unhe
Sookhey patton ki tarhan bikhar jaatey woh

Monday, May 3, 2010

Shararat

Isqh mein tujhko satane ka lutf aur hi hai
Aur tera nazron ko ghumane ka lutf aur hi hai
Roothna tera mere dil ko pasand nahi
Par tujhe roothe se manane ka lutf aur hi hai

Monday, April 5, 2010

Intezaar

Humey roz tera intezaar rehta hai
Tu nahi aati magar aitbaar rehta hai
Ab to aaja aye mere dil ke sukoon
Bin tere dil ye bada beqaraar rehta hai

Wednesday, March 24, 2010

Tera Ehsas

Yoon to daaman mera ashkon se bhara rehta hai
Tere aaney ki hawa daaman ko sukha deti hai

Monday, March 22, 2010

Ishq ka Safar

Raah-e-Ishq mein aise bhi maud aaney lagey
Woh hamey dekh kar besaakhta muskuraney lagey
Woh mohabbat hai ya shararat ye mujhe ilm nahi
Bas unkey saath hum hazaron khwaab sajaney lagey

Friday, March 19, 2010

Tera Husn

Bahaar e husn se tere thoda sa shabab chahta hoon
Teri aankhon se main bas aik khwaab chahta hoon
Tu mujhe chahti nahi ye gila to zaroor hota hai
Magar mein phir bhi tujhe be-hisaab chahta hoon
Dua to jab bhi kari thi aur ab bhi duaen jaari hain
Hujoom-e-gham se main teri nijaad chahta hoon
Mehfil mein dhoondti hain meri nigah tujhko
Teri ek nazar se mein dil ka karaar chahta hoon

Thursday, March 18, 2010

Noor

Yoon chalakta hai tera nuur sitaron ki tarhan
Jaise ayi ho koi rut baharon ki tarhan
Jaagta rehta hoon tere khayalon mein yoon
Jaise nazron mein basi ho tu nazaron ki tarhan
Teri deed se mehroom hain aankhen meri
Bas dekh leta hoon tujhe raat ke khwabon ki tarhan
Ab na din mein sukoon na raat ko chen aata hai
Dil-e-sheeraz hai ab saagar ke kinaron ki tarhan

Judai ka ehsas

Haasil kiye bagair tumko gawaney lage hain hum
Roothey hain khud aur tumko mananey lage hain hum
Ajab ye ittefaaq hai ya keh lo isey meri majboori
Jo baat tumse kehni hai woh chupane lage hain hum
Kal hi to tootey the mere khwaab sab yaad hai magar
Phir aaj kayi naye khwaab sajaney lage hain hum

Jaun Eliya

Be-Dili kya yuhin din guzar jayenge
Sirf Zinda rahe hum to mar jayenge

Tuesday, March 16, 2010

Tamanna

Aarzu teri hai seeney mein justuju teri hai
Meri har guftugu mein faqat guftugu teri hai
Jab bhi dekha hai maine ayina to meri aakhon mein
Jo tasweer dikhti hai woh tasweer hubahu teri hai

Dard Ki Dawa


Kitna haseen hai mere dard ka manzar dekho
Jo na Shamil the kabhi aaj who bhi ayen hain
Jinko khabar bhi na thi dard-e-dil ki mere
Aaj to woh bhi dawa mere dard ki layen hain
Itna zaahir hai wajood aaj unka kya kahoon
Jis taraf dekhon us taraf unke saayen hain
Itna sheeren bhi ho sakta hai “sheeraz” ye sabab?
Ya unke hone se mere dard fana paye hain?

Sunday, March 14, 2010

Teri Yaad

Aks-e-dil chupana bada mushkil hai
Tujhe bhool jaana bada mushkil hai
Kal bhi maine chaha tha teri yaad na aye
Par teri yaad na aana bada mushkil hai